soz-egam de ke mujhe ussne ye irshaad kiya
ja tujhe kashmkash-e-dahar se aazad kiya
vo karen bhi toh kin alfaaz mein tera shikwa
jinko teri nigaah-e-lutf ne barbaad kiya
dil ki choton ne kabhi chain se rehne na diya
jab chali sard hawa mein tujhe yaad kiya
aise mein main tere taj-takalluf pe nisar
phir toh farmaaye vaffa aap ne irshad kiya
isska rona nahin kyun tumane kiya dil barbaad
isska gam hai ki bohat der mein barbaad kiya
itna masuum hun fitrat se, kali jab chatki
jhuk ke maine kaha, mujhse kuch irshaad kiya
meri har saans hai iss baat ki shaahid-emaut
maine har lutf ke mauqe pe tujhe yaad kiya
mujhko toh hosh nahin tumko khabar ho shayad
log kehte hain ki tumne mujhe barbaad kiya
vo tujhe yaad kare jisne bhulaya ho kabhi
humne tujhko na bhulaya na kabhi yaad kiya
kuch nahin isske siva 'josh' hariffon ka kalaam
wasl ne shad kiya hizr ne na_shaad kiya
No comments:
Post a Comment