Saturday, May 30, 2009

unknown

zindagi ke nisaab mein rakha
gham ko khushion ke baab mein rakha
daag jaisa aata kya mujhko
waisa hi mahtab mein rakha
mere seene mein dil diya aise
jaise kaanta gulab mein rakha
mujhko duniya mein kar diya ruswa
aur khudko naqab mein rakha
mujhse vaada wisal ka kar ke
umar bhar iztarab mein rakha
phool bheja usse lifaafe mein
ussne kanta jawab mein rakha
naam sun kar 'ishq' ka bole
kya hai khana-kharab mein rakha?

No comments:

Post a Comment

wel come