nihaan hone se darte hai, ayaan hone se darte hai
barabar chal rahe hai karwan khone se darte hai
bulandi se kahin gir kar na chaknachoor ho jaayen
zamiin wale tabhi ba_aasman hone se darte hai
sitam ki andhiyon mein ye kahin pehchan na kho den
nishaan wale bhi aksar benishan hone se darte hai
gulon mein khaar ki fitrat chali aayi hai chupke se
baybaan bhi tabhi toh gulistan hone se darte hai
jhalak jaate hai aksar dard ki maanind aankhon se
magar khamosh rehte hai bayaan hone se darte hai
kuchal deti hai har hasrat hamari bereham duniya
dil-e-masoom ke armaan jawan hone se darte hai
haqiiqat ko bayan karne se pehle aajkal 'dil'
zuban wale bhi aksar bezuban hone se darte hai
No comments:
Post a Comment