zahir ki aankh se na tamasha kare koi
ho dekhna toh deeda-e-dil waa kare koi
arre baithe kya samjh ke bhala tuur par kaleem
taaqat ho deed ki toh taqaza kare koi
ilaahi teri chaukhat par bhekaari ban ke aaya hun
saraapa faqr hun, ijz-o-nadaamat saath laya hun
bhikari vo ke jis ke paas jholi hai na piyaala hai
bhikaari vo jise hirs-o-hawas ne maar dala hai
mata-e-deen-o-daanish nafs ke haathon se lutwa kar
sukoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhaint chharwa kar
luta kar saari poonji ghaflat-o-isyaan ki daldal mein
sahara lene aaya hun tere kaabe ke aanchal mein
No comments:
Post a Comment