honton pe mohbbat ke fasane nahi aate
sahil pe samundar ke hazane nahi aate
palken bhi chamak uthi hain sote hi hamari
aankhon ko abhi khwab chupane nahi aate
dil ujdi hain ik saraye ki tarha hain
ab log yahan raat jagane nahi aate
yaaro naaye mousam ne ye ehsaan kiye hain
ab yaad samjhe dard purane nahi aate
udne do abhi parindon ko shokh hawa mein
phir laut ke bachpan ke zamane nahi aate
iss shehar ke badal teri zulfon ki tarha hain
ye aag lagate hain par bujhane nahi aate
ahbaab bhi ghaiiron ki tarha ada seekh gaye hain
aaty hein magar dil ko dukhane nahi aate…
No comments:
Post a Comment