main umar bhar ki andhi parastish ke bawjood
phir dasht-e-naarsa mein hun koshish ke bawjood
muddat ke baad ussko jo dekha toh yun hua
dil tham gaya khoon ki gardish ke bawjood
meri tarah kisi ki nazar mein na chadh saka
jangle ka phool apni numaaish ke bawjood
khud_ru hun dasht-e-fun ki riwayaat ke bar_khilaaf
zinda hun abr-o-ret ki saazish ke bawjood
shayad yahi hai jazba-e-iisaar dosto
main haarta hun jeet ki khwahish ke bawjood
No comments:
Post a Comment