apni tanhai mere naam pe abaad kare
kaun hoga jo mujhe usski tarah yaad kare
dil ajab shehr ke jiss par bhi khula dar isska
woh musafir isse har simt se barbad kare
apne qatil ki zehanat se pareshan hun main
roz ek maut naye tarz se ejaad kare
salb-e-benaai ke ehkaam mile hain jo kabhi
roshni choone ki khwahish koi shab-zaad kare
soch rakhna bhi jaraaim mein hai shamil ab toh
wahi ma'soom hai har baat pe jo saad kare
jab lahoo bol pade isske gawahon ke khilaf
kaazi-e-shehr kuch iss baab mein irshaad kare
usski muthi mein bohot roz raha mera wajood
mere saahir se kaho ab mujhe azaad kare
No comments:
Post a Comment