Saturday, May 30, 2009

unknown

doobte shehr ka manzar nazar aata hai mujhe
Duur tak ek samndar nazar aata hai mujhe
jaane kis ka hai jo paikar nazar aata hai mujhe
ek insaan mere andar nazar aata hai mujhe
dil ki aankhon se zamane ko agar dekhon main
waqt ke hath mein pathhar nazar aata hai mujhe
vosa’at-e-diida-o-dil ka koi aalam toh dekhe
ab toh har qatra samndar nazar aata hai mujhe
duur rehna toh kabhi ussko gawara hi nahi !!
saaya ban kar woh sarasar nazar aata hai mujhe
usske paikar se jo taabiir kiya jata tha !
vo bhi ab apna hi paikar nazar aata hai mujhe

No comments:

Post a Comment

wel come