Saturday, May 30, 2009

unknown

iss baar vo mila toh ajeeb usska rang tha
alfaaz mein tarang na lehja daband tha
ek soch thi ki bhikari hui khaal-o-khad[body] mein thi
ek dard tha ki jiska shahiid ang-ang tha
ek aag thi ki raakh mein poshida[hidden] thi kahin
ek jism tha ki ruuh se masaruuf-e-jang tha
maine kaha ki yaar tumhen kya hua hai ye
ussne kaha ki umar-e-ravaan ki ataa hai ye
maine kaha ki umar-e-ravaan toh shabi ki hai
ussne kaha ki fikr-o-nazar ki ata hai ye
maine kaha ki sochata rehta toh main bhi hun
ussne kaha ki aaiina rakha hua hai ye
dekha toh mera apna hi aks-e-zamaal tha vo
vo main tha aur 'himayat ali' tha vo

No comments:

Post a Comment

wel come