chand lamhon mein bikhar jaati hai dil ki duniya
u'mr lagti hai usse jod ke yak-jaa karna
yeh bhi neki hai agar jaan lo sab se badh kar
dost dushman ke kisi e'yb ka parda karna
kaun sikhlayega hoti hai bhalyi kaise?
hai bura kaam, burayi ka bhi charcha karna
tum na reh paaoge insaanon ke jangal mein agar
phir kahin duur pahadon pe basera karna
tum chale jaao, palat kar nahin dekhen tumko
shart yeh ke Khayalon se na guzra karna
duub jaaoge toh sahel bhi na paaoge kahein !
meri aankhon ke samandar mein na utra karna
ashk behte hein tu behne do khuda ke aage
hun nadamat ke, toh sehra ko bhi dariya karna
thak gayi chalte huye bad-e-mukhalif 'saqi'
rukh hawaon ka idhar bhi kabhi moda karna
No comments:
Post a Comment