Saturday, May 30, 2009

unknown

phir kisi yaad ne raat bhar hai jagaya mujhko
kya saza di hai muhbbat ne khudaya mujhko
din ko aaram hai na raat ko hai chaiin kabhi
jaane kis khaak se kudrat ne banaya mujhko
dukh toh yeh hai ke zamane mein mile ghaiir sabhi
jo mila hai woh mila ban ke paraya mujhko
jab koi bhi na raha kandha mere rone ko
ghar ki deewaron ne seene se lagaya mujhko
ab toh ummed-e-waffa tumse nahin hai koi
phir charagon ki tarah kis ne jalaya mujhko
bewaffa zindgi ne jab chod diya hai tanha
maut ne pyar se pehlu mein bithaya mujhko
woh diya hun jo muhbbat ne jalaya tha kabhi
gham ki aandhi ne subah aur sham bujhaya mujhko
kaise bholunga tere saath guzare lamhe
yaad aata raha zulfon ka hi saaya mujhko

No comments:

Post a Comment

wel come