zamaanaa aaj nahi dagmagaa ke chalane ka
sambhal bhi jaa ki abhii vaqt hai sambhalane ka
bahaar aaye chali jaaye phir chali aaye
magar ye dard kaa mausam nahi badalane kaa
ye theek hai ki sitaaro pe ghuum aaye hai
magar kise hai saliqaa zamin pe chalane kaa
phire hai raaton ko avaara ham to dekhaa hai
gali gali mein samaa chaand ke nikalane kaa
tamaam nashaa-e-hastii tamaam kaif-e-vajuud
vo ik lamhaa tere jism ke pighalane kaa
No comments:
Post a Comment