Saturday, May 30, 2009

unknown

naghma-e-maah ho anjum ho, tum soz-e-tamana kya jaano
tum dard-e-muhbbat kya samjho, tum dil ka tadpana kya jaano
sau baar agar tum rooth gaye, hum tum ko mana hi lete thay
ik baar agar hum rooth gaye tum humko manana kya jaano
takhreeb-e-muhbbat aasan hai, taamiir-e-muhbbat mushkil hai
tum aag lagana seekh gaye tum aag bujhana kya jaano
tum door khade dekha hi kiye aur duubne wala duub gaya
saahil ko tum manzil samjhe, tum,lazzat-e-dariya kya jaano

No comments:

Post a Comment

wel come