ek aisa ghar chahiye mujhko, jis ki fazaa mastana ho
ek kone mein ghazal ki mehfil, ek kone mein mehkhana ho
aisa ghar jis ke darwaze, bandh na ho insaano par
sheikh-o-bahman-rind-o-shrabi, sab ka aana jaana ho
ek takhti angoor ke pani se, likh kar dar par rakh do
iss ghar mein woh aaye, jisko subha talak na jaana ho
jo meh khaar yahna aata hai, apna mehmaa hota hai
woh bazaar mein ja ke pee lay, jisko daam chukana ho
paysein hai honto se kehna, kitna hai aasaan 'zafar'
muskil uss dam aati hai, jab ankho se samjhana ho
No comments:
Post a Comment