sanam dekhte hain,bharam dekhte hain
rab ka apne liye karam dekhte hain
tujhe bhula kar bhi jee lenge hum
khud se kiya jo ye ab azam dekhte hain
main na rahunga,tu bhi na rahega
mohbbat humari iss ka,adam dekhte hain
jab se rehne laga hai tu dil main mere
iss ghar ko bhi aise jaise,haram dekhte hain
jab se dekha hai tujhe,bhula diye sabko
hum mohabbat ko hi bas dharam dekhte hain
tune phair li hain jab se nazren
zindagi apni hum bas gham dekhte hain
jab bhi talab ho ab nashe ki
teri hi aake ab toh chasham dekhte hain
tere roop ki roshni hi hai kaafi
ab sooraj, chaand hum kam dekhte hain
tujh par likhte hain hum bas tujh par
iss liye haathon mein apne qalam dekhte hain
mujh mein bhi ab tu hi dikhta hai
saamne aayeene ke hum khud ko kam dekhte hain
tere bina sochte hain jab zindagi
isse toh bas hum khud hi munhadim dekhte hain
jab se chaha hai banana zindagi ka maqsad
'abdulwahab' sar ko siraf sajde main hum dekhte hain
No comments:
Post a Comment