ye mojuda tarike rahi-e-mulak-e-adam honge
nayi tehzeeb hogi aur naye saman baham honge
naye unwaan se zeenat dekhenge hansi apni
na aisa pech zulfon mein, na gesu mein ye kham honge
na khaton mein reh jayegi parde ki ye pabandi
na ghoonghat iss tarah se haazib-e-ru-e-sanam honge
akeedat par qayamat aayegi tasmeem-e-millat se
naya qaba banega, maghrabi putle sanam honge
badal jayega mayaar-e-sharafat chashm duniya mein
jayda thay jo apne za'am mein vo sabse kam honge
kisi ko iss tagyyur ka na his hoga na gham hoga
huye jis saaz se paida ussi ke zer-o-bam honge
tumhen iss inqalab-e-dahar ka kya gham hai ae 'akbar'
bohat nazdeek hain vo din ki tum honge na hum honge
No comments:
Post a Comment