waffa ka dard samjhte hain
tabhi toh kuch nahi kehte
tu kya jaane waffa kya hai
mohbbat ka sila kya hai
sitam saare utha kar bhi
zaban se uff nahi karte
zuban khamosh rakhte ho
ya apni anaa se darte ho
kabhi vo kaash ghabra kar
mujhi se jhat lipat padte
sharm se ya kabhi mere
simat baahon mein woh rehte
ye tera kaash kehna hi
hamen hargiz na bhata hai
teri har baat mein humko
nazar bas jhooth aata hai
nahin tohmat hain, bas baatein
jo kehte toh kise kehte ?
sunaao tum kabhi jo chaho
nahi sun'ne se hum thakte
khudi se kar lo tum baatein
hamare peeche mat aana
jahan hain sainkdon baithe
vahan aa baith tum jaana
fida hai jaan-o-dil tujh par
ye kehne se nahi darte
zaban sil lenge, par ruswa
tujhe hum kar nahi sakte
bade aashiq mizaaji ho
kahin bi dil lagaate ho
faqeeri bhes hai lekin
bade dikhte nawabi ho
No comments:
Post a Comment