kahan vo ab lutf-e-bahami hai, muhabbton mein bohat kami hai
chali hai kaisi hawa illahi ki har tabiyat mein barhami hai
meri waffa mein hai kya tazlzul meri itiyaat mein kya kammi hai
ye kyon nighaein phiri hain mujhse mizaaj mein kyun ye barhami hai
vahi hai fazal-e-khuda se ab tak taraki-e-kaar husn-o-ulfat
na vo hain mashq-e-sitam mein kaasir na khoon-e-dil ki yahan kammi hai
na koi takreem-e-bahami hai na pyar baqi hai ab dilon mein
ye sirf tehriir mein dear sir hai ya janab-e-mukarmi hai
kahan ke muslim kahan ke hindu bhulayi hai sabse agli rasmen
akeede sab ke hain teen-teraha, na gaharvi hai na ashtmi hai
nazar meri aur meri hi taraf hai hazar rang-e-zamana badle
hazar baatein banaye naseh zami hai dil mein jo kuch zami hai
agarche main rind-e-mohtaram hun magar isse shekh se na puchho
ki unnke aage toh iss zamane mein saari duniya zehn_numi mein hai
No comments:
Post a Comment