tere sahar-e-nazar se hua ye junoon mere dil ki
toh iss mein khata hi na thi
tere kuuche mein aa ke main baith raha bazuuz isske kuch
aur dawa hi na thi
hui tabaa'a jo maachal daam-e-bala, main tumhari
zulf-e-sipa mein phansa
mere daaman-e-dil ko jo khench sake, koi aur
toh aisi bala hi na thi
kiya sohbat -e-gaiir ne qahar-o-gazab, mujhe
koi ummid rahi nahi ab
dam-e-chand ko mujhse mile bhi jo kal, vo
nazar hi na thi vo ada hi na thi
na nibhi toh phir iss mein thi kiski khata, ye gila
hai meri hi tarf se baza
mere ishq ka rang toh khoob raha, magar
aap mein buu-e-waffa hi na thi
gham-e-hizr mein jii se gaya jo guzar, toh ye
'akbar'-e-zaar ne khoob kiya
ki illaz-e-firaq toh tha hi yahi, bazuuz isske
kuch aur dua hi na thi
No comments:
Post a Comment