na ruuh mazhab, na qalab-e-aarif, na shayarana zuban baqi
zamiin hamari badal gayi hai, agarche hai asman baqi
shab-e-guzishta ke saaz-o-saman ke ab kahan hai nishan baqi
zuban-e-shama sahar pe hasrat ki reh gayi dastan baqi
jo zikr hai aakhrat ka, toh aap hote hai saaf munkir
khuda ki nisbat bhi dekhta hun, yakin rukhsat, guman baqi
fizool hai unnki bad-dimagi kahan hai fariyad ab labon par
ye vaar par var ab abs hain, kahan badan mein hai jaan baqi
main apne mitne ke gham mein nalah, udhar zamana hai shada-okhanda
ishara karti hai chashm-e-dauran jo aan baqi jahan baqi
iss liye reh gayi hain aankhen ki mere mitne ka rang dekhen
sunu vo baaten jo hosh uddayen iss liye hain ye kaan baqi
taazub aata hai tifal-e-dil par ki ho gaya mast-e-nazm 'akbar'
abhi middle paas tak nahi hai, bohat se hain imtihan baqi
No comments:
Post a Comment