Sunday, June 28, 2009

akbar ki shayyiri

hum kyun ye mubtala-e-betabi-e-nazar hain
taskeen-e-dil ki ya rab vo suratein kidhar hain
zarre jo gul bane thay vo ban gaye bagule
jo zeenat-e-chaman thay vo khaak-e-rahguzar hai
duniya ki kya haqiqat aur humse kya taalluq
vo kya hai ik jhalak hai hum kya hai ik nazar hai
humne suna bohat kuch haal-e-jahan-e-faani
afsana go gazab hain qisse toh mukhatsar hai
ghamkhana-e-jahan mein waqa'at hi kya hamari
ik na_shuneeda uff hai ik aah-e-beasar hai
kya mashriqi kafan bhi vo tarq kar sakenge
auzaar-e-maghreebi mein jo gark sarbasar hai
'akbar' ke shair sun kar kehte hai ahl-e-baatin
ab bhi khuda ke bande kuch saahib-e-asar hai

No comments:

Post a Comment

wel come