duniya mein hun, duniya ka talabgaar nahin hun
bazar se guzra hun, kharid'daar nahin hun
zinda hun, magar ziist ki lazzat nahin baaqi
har chand ki hun hosh mein hoshiyar nahin hun
iss khana-e-hasti se guzar jaunga belosh
saya hun faqat naqsh be-diwar nahin hun
afsurda hun, ibarat se, dawa ki nahin haazit
gham ka mujhe ye zauff hai, bimaar nahin hun
vo gul hun khizan ne jise barbaad kiya hai
uljhu kisi daaman se main vo khaar nahin hun
ya rab ! mujhe mehfooz rakh uss buut ke sitam se
main usski inayat ka talab gaar nahin hun
afsurdgi-o-zauff ki kuch hadh nahin 'akbar'
kaafir ke mukabil mein bhi didaar nahin hun
deewaanaa kiyaa mujhe tere rukhsaar ke til ne ,bismil hu ilaahi main beemar nahi hu.....sagardeep
ReplyDelete