Saturday, June 6, 2009

ashraf gill ki shayyiri

aapse jab talak,aashnayi na thi
zindgaani meri, muskurayi na thi
pyar mein kya khabar thi, yeh dil jaayega
humne qismat kabhi aazmayi na thi
khud khushi se ghamon se, rahi dosti
iss mein shaamil khuda ki, khudayi na thi
berukhi ka hi teri, yeh hai mojiza
aankh meri kabhi, dabdabaayi na thi
tu jo rukhsat hua, woh andhera hua
yun laga yaan kabhi, raushnayi na thi
paishtar tumse milne se, humne kabhi
ki khyalon se zor-aazmayi na thi
khud hi nikla mere, haathon se dil mera
haath ki yeh tere kuch, saffayi na thi
unnki fitrat bhi dekhi, badlte huye
jinnki himmat kabhi, dagmagyi na thi
kyun raha dam-bakhud, milke 'ashraf' usse
baat meri samjh mein, yeh aayi na thi

No comments:

Post a Comment

wel come