Thursday, June 4, 2009

azhar ki shayyiri

mayassar[possible] ho jo lamha dekhane ko
kitaabon mein hai kya kya dekhane ko
hazaron qadd-e-aadam aaiine[full length mirror] hain
magar tarsoge chehra dekhane ko
abhi hain kuch purani yaadgaaren
tum aana shahr mera dekhane ko
hawa se hi khulata tha aksar
mujhe bhi ik dareecha[window] dekhane ko
abhi shakhon pe hain kuch phool 'azhar'
mujhe kanton mein uljha dekhane ko

No comments:

Post a Comment

wel come