uljhaav ka maza bhi teri baat hi mein tha
tera jawab tere savalat hi mein tha
saaya kisi yaqi.n ka bhi jis par na pad saka
vo ghar bhi shahr-e-dil ke muzafat[near by] hi mein tha
ilzaam kya hai ye bhi na jaana tamam umar
mulzim tamam umar hawalat hi mein tha
ab toh faqat badan ki muravvat hai darmiyan
tha rabt jaan-o-dil ka to shuru'aat hi mein tha
mujhko toh qatl kar ke manata raha hai jashn
vo zee'lihaz[liihaaz ke qaabil] shaks meri zaat hi mein tha
No comments:
Post a Comment