ik tum ke dil mein dard kisi gair ke liye
ik ham ke dard ban gaye Khud aap ke liye
ham apne aashiyane mein tere muntazir
tum tinke chun rahe thay kisi aur ke liye
ham jaante hain dil mein tumhare nahin hain ham
jo khat tumhari aankhon mein thay ham ne padh liye
gham hai ke tune luut liya aitamaad ko
ik daag de diye hain hamen umar ke liye
qaatil ki iss ada pe bhi qurbaan jaaye
Khud de ke zahar aankhon mein aansu bhi bhar liye
thi kaun si khata ke mili jis ki ye saza
hamne toh umar bhar tere nqash-e-qadam liye
'azra' ye mana bojh hai ab tujhpe zindgi
par zindgi toh teri nahin hai tere liye
No comments:
Post a Comment