subh taa shaam sochta hun main
sau tere naam sochta hun main
ye jo ek taaza aag bhadki hai
iss ka anjaam sochta hun main
saamne hai qalam bhi kaaghaz bhi
aur paigham sochta hun main
tujhse iss dil ka jo ta'alluq hai
uss ka kuch naam sochta hun main
ek sham-e-firaaq dhal bhi gayi
phir bhi har sham sochta hun main
kya sabab hai gham-e-zamaane ka!
la zara jaam sochta hun main
ab koi fikr hi nahi "baki"
bas tera naam sochta hun main
No comments:
Post a Comment