mizgaa[eye brow] ne teri chak kiye aashiqo ke dil
dast-e-miza[palak] bhi panja-e-wehsht se kam nahi
woh lazzat-e-wisal se lete hain jaan-o-dil
ye mehrbaniya bhi adawat se kam nahi
kiya majraa kaho dil-e-umeedvaar ka
ek aarzu bhi haraz museebat se kam nahi
ye naaz ye nigah ye chalbal ye shokiyan
tum iss se bhi siva ho qaymat se kam nahi
hai sham hi se wasl mein tumko talash-e-subha
ye intzaar bhi meri hasrat se kam nahi
tune diya farogh toh hai 'daagh' hai aftab
zarra bhi varna isski haqiiqat nahi
No comments:
Post a Comment