be-dam huye bimaar dawa kyun nahi dete
tum achche masiah ho shifa kyun nahin dete
dard-e-shab-e-hizran ki jazaa kyun nahi dete
khuun-e-dil-e-vehashi ka sila kyun nahi dete
mit jayegi makhlook[duniya] toh insaaf karoge
munsif ho toh ab hashr utha kyun nahi dete
paimaan-e-junoon haathon ko sharmyega kab tak
dilwalom, ghariban ka pata kyun nahi dete
barbaadi-e-dil-jabr nahin ‘faiz’ kisi ka
vo dushman-e-jaan hai toh bhula kyun nahin dete
No comments:
Post a Comment