karz-e-nigah-e-yaar ada kar chuke hain hum
sab kuch nisar-e-raah-e-waffa kar chuke hain hum
ab ehtiyaat ki koi surat nahin rahi
qaatil se rasm-o-raah siva[contact badhana] kar chuke hain hum
dekhe hain kaun kaun, zaroorat nahin rahi
kuu-e-sitam mein sab ko khaffa kar chuke hain hum
ab apna ikhtiyar hai, chahe jahan chalen
rahbhar se apni raah juda kar chuke hain hum
unnki nazar mein, kya Karen, fika hai ab bhi rang
jitna lahu tha sarf-e-qaba kar chuke hain hum
kuch apne dil ki khuu ka bhi shukrana chahiye
sau baar unnki khuu ka gila kar chuke hain hum
No comments:
Post a Comment