Friday, June 5, 2009

faraz ki shayyiri

silsile tod gaya vo sabhi jaate jaate
varna itne toh maraasim[rista] thay ke aate jaate
shikwa-e-zulmat-e-shab se toh kahin behtar tha
apne hisse ki koi shamma jalate jaate
kitna aasan tha tere hijr mein marna jaana
phir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate
jashn-e-maqtal hi na barpa hua varna hum bhi
pa-bajolaan[chained] ji sahi naachte gaate jaate
usski vo jaane usse paas-e-waffa tha ke na tha
tum "faraz" apni taraf se toh nibate jaate

No comments:

Post a Comment

wel come