aamad-e-dost ki navid kuu-e-waffa mein aam thi
maine bhi ik chirag-sa dil sar-e-sham rakh diya
dekho ye mere khwab thay dekho ye mere zakhm hain
main ne toh sab hisaab-e-jaan bar_sar-e-aam rakh diya
uss ne nazar nazar mein hi aise bhale sukhan kahe
maine toh usske paanvon mein saara kalam rakh diya
shiddat-e-tishnagi mein bhi gairat-e-maikashi rahi
ussne jo pher li nazar maine bhi jaam rakh diya
aur 'faraz' chahiye kitni muhabbaten tujhe
ke maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diya
No comments:
Post a Comment