rukte huye taaron ko syaahi kei khabar hai
pheli hai jo shab aabla-e-dard ki surat
mehshar ki talab sukhe huye honton pe le kar
nikli hai kiran jaise koi ashk-e-nadamat
paband sitaron ke sehar mein hui jab se
aankhon mein basi jaati hai phaili hui hairat
aazurda tabiyat pe malaal-e-rukh-e-yaaran
har aan har ik lamha, sar-e-soz-e-qyaamat
iss raqs-e-fusoon mein ke jahan mein hai jo barpa
darta hun kisi roz kahin tuut na jaaon
ik bahr-e-junoon khaiz bahaaye mujhe aise
rona na agar phir main kabhi laut na aaon
No comments:
Post a Comment