Monday, June 1, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

kisi se chuuth ke shad aur kisi se mil ke ghamin
'firaq' teri muhbbat ka koi thikana nahin
yun-hi-sa tha koi jisne mujhe mita dala
na koi noor ka putla na koi zohara-jabeen

jo bhulti bhi nahin yaad bhi nahin aati
teri nigah ne kyun vo kahaniyan na kahi

labe-nigaar hai ya naghma-e-bahaar ki lau
sukute-naaz hai ya koi mutribe-rangin[beauty lover singar]

shuru-e-zindgi-e-ishq ka vo pehla khwab
tumhen bhi bhula chuka hai mujhe bhi yaad nahin

hazaar sukr ki mayoos kar diya tune
ye aur baat ki tujhse badi umeeden thin

agar badal na diya aadmi ne duniya ko toh
jaan lo ki yahan aadmi ki khaiir nahin

hunar toh khaiir hunar aib se bhi jalte hain
fugaan[aah] ki ahl-e-zamana hai kis kadar kambi'n[adurdarshi]

No comments:

Post a Comment

wel come