aankhon mein jo baat ho gayi hai
ik sharhe-hayaat ho gayi hai
jab dil ki waffat ho gayi hai
har cheez ki raat ho gayi hai
gham se chhut kar ye gham hai mujhko
kyun gham se nijaat ho gayi hai
muddat se khabar mili na dil ki
shayad koi baat ho gayi hai
jis shai pa’ nazar padi hai teri
tasveer-e-hayyat ho gayi hai
ab ho mujhe dekhiye kahan subah
inn zulfon mein raat ho gayi hai
dil mein tujhse thi jo shikayat
ab gham ke nikaat[marm] ho gayi hai
ikraar-e-gunahe-ishq sun lo
mujhse ik baat ho gayi hai
kya janiye maut pehle kya thi
ab meri hayyat[jindgi] ho gayi hai
uss chashm-e-siyah ki yaad aksar
shame-zulmat ho gayi hai
iss daur mein zindgi basher ki
bimaar ki raat ho gayi hai
jeeti hui baazi-e-muhabbat
khela hun toh maat ho gayi hai
mitne lagin zindgi ki qadaren
jab gham se nizaat ho gayi hai
vo chahen toh waqt bhi badal jaaye
jab aaye hain raat ho gayi hai
pehle vo nigah ek kiran thi
ab barq-sifaat[bijli ki tarha] ho gayi hai
jis cheez ko chhu diya hai tune
ik barge-nabaat[hari daali] ho gayi hai
ikka-dukka sada-e-janzeer
zinda mein raat ho gayi hai
ek ek sifat ‘firaq’ usski
dekha hai toh zaat ho gayi hai
No comments:
Post a Comment