koi le jata hai uss tak na qaza aati hain
aap ho ke mujhe jaane mein hya aati hain
majboor karke phir mujhe mere yaar le chalo
uski gali mein phir mujhe ek baar le chalo
shayad ye mera veham ho mera khayal ho
Mumkin hai mere baad se mera malaal ho
pachta raha ho phir mujhe darr se utha ke woh
baitha ho meri raah me aankhein bichha ke woh
usne hi toh kiya tha mujhe pyar le chalo
uski gali me phir muhe ek baar le chalo
ab uss gali mein koi na aayega mere baad
uss darr pe khoon kaun bahayega mere baad
maine toh sang-o-khisht se takra ke apna sar
wallah kar diye thay lahoo se woh baam-o-dar
phir muntazir hai woh dar-o-deewar le chalo
uski gali mein phir mujhe mere yaar le chalo
uski gali ko jaanta pehchanta hoon main
woh meri qatlgaah hai ye maanta hoon main
uski gali mein maut muqaddar ki baat hai
'shahid' ye maut ahl-e-waffa ki hayat hai
main khud hi mangta hun talabgaar le chalo
uski gali me phir muhe mere yaar le chalo
No comments:
Post a Comment