Saturday, June 6, 2009

gautam dhar zafar ki shayyiri

na mujhko gam hai jeene ka ye jaan nikle toh kya hota
vo har ik mod pe kya dekhen mera maazi jahaan hota
huyi ik umar sehraa mein iss aks-e-hasti ko
khuda ya itni mannat hai bas apni ik makaan hota
gila mujhko nahi kaafir ye apni haal-e-qismat ka
ye jeena hi qaza meri jo maut aati toh kya hota
falak par zauf ke saaye zamin ye ashq ki mehmaan
mazaar-e-ishq ye duniya mein apna ik nishaan hota
chale jayenge ik din hum teri iss bazm-e-yaaran se
na dil ko kuch khabar hoti na tujhko ye gumaan hota

No comments:

Post a Comment

wel come