aah ko chahiye ik umr asar hone tak
kaun jiita hai teri zulf ke sar hone tak
daam har mauj mein hai halqa[ring]-e-sad[hundred]-kaam-e-nahang[crocodile]
dekhen kya guzre hai qatre pe guhar[moti] hone tak
aashiqui sabr-talab[requiring patience] aur tamanna betaab
dil ka kya rang karun Khuun-e-jigar hone tak
humne maana ke taghaaful[neglect] na karoge lekin
Khaak ho jaayenge ham tum ko khabar hone tak
partav-e-khuur[Sun rays] se hai shabanam ko fana ki taalim
main bhi hun ek inaayat kii nazar hone tak
yak-nazar besh[excess] nahin fursat-e-hasti ghaafil[ignorant]
garmii-e-bazm hai ik raqs[dance]-e-sharar[fire] hone tak
gham-e-hasti ka ‘asad’ kis se ho juz marg ilaaj
shamma har rang mein jalti hai sahar hone tak
No comments:
Post a Comment