diya hai dil agar ussko,bashar[aadmi] hai kya kahiye !
huwa raqeeb toh ho, namabar hai, kya kahiye !
ye zid k aaj na aave aur aaye bin na rahe
qaza[fate] se shikwa hamein kis qadar hai kya kahiye
rahe hain yun gah[time]-o-begah ki koo[street]-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman ka ghar hai, kya kahiye
zah[child]-e-karishma ki yun de rakha hai humko fareb
ki bin kahe hi unhen sab khabar hai, kya kahiye
samjh ke karte hain baazar mein woh pursish[enquiry]-e-haal
ki yeh kahe ki sar-e-rehguzar hai, kya kahiye
tumhein nahin hai sar-e-rishta-e-wafa ka khayal
hamare haath mein kuch hai, magar kya kahiye
unhen sawal pe zoam[pride]-e-junoon hai, kyun ladiye
hamen jawab se qata'a[break]-e-nazar[to ignore] hai, kya kahiye
hasad[envy] saza-e-kamal-sukhan hai, kya kahiye
sitam, bahaa[value]-e-mata'a[valuable]-e-hunar hai, kya kahiye
kaha hai kisne ki "Ghalib" bura nahin lekin
sivaye iss ke ki aashuftaa[mentally deranged]_sar hai kya kahiye
No comments:
Post a Comment