phir kuch ik dil ko be-qarari hai
seena joya-e-zakhm-ekaari hai
phir jigar khodne laga nakhoon
aamad-e-fasl-e-laala kaari hai
qibla-e-maqsad-e-nigah-e-niyaz
phir wohi parda-e-amaari hai
chashm-e-dallaal-e-jins-e-ruswai
dil kharidaar-e-zauq-e-khwaari hai
vohi saad rang laala farsaaii
vohi saad go na ashkbaari hai
dil havaaye khiraam-e-naaz se phir
mehsharistaan-e-beqarari hai
jalwa phir arz-e-naaz karta hai
roz-e-baazar-e-jaan sipaari hai
phir ussi bewaffa pe marte hain
phir vohi zindgi hamari hai
phir khula hai dar-e-adaalat-e-naaz
garm bazaar-e-fojdaari hai
ho raha hai jahan mein phir andheir
zulf ki phir sarishtadaari hai
phir diya paara-e-jigar ne sawaal
ek fariyad-o-aah-o-zaari hai
phir huye hain gawah-e-ishq talab
ashkbaari ka hukm jaari hai
dil-o-mizhgaan ka jo muqaddama tha
aaj phir usski rubakaari hai
bekhudi besabab nahin 'ghalib'
kuch toh hai jis ki pardadaari hai
No comments:
Post a Comment