dil ki baat labon par la kar ab tak ham dukh sehte hain
ham ne suna tha iss basti mein dil wale bhi rehte hain
beet gaya sawan ka mahina mausam ne nazaren badali
lekin inn pyaasi aankhon mein ab tak aansu behte hain
ek hamen aawara kehna koi bada illzam nahin
duniya wale dil waalon ko aur bahut kuch kehte hain
jis ki khatir shahr bhi chhoda jis ke liye badnaam huye
aaj wahi ham se begane begane se rehte hain
vo jo abhi rahguzar se chaak-e-gareban guzara thaa
uss aawara diwaane ko 'jalib'-'jalib' kehte hain
No comments:
Post a Comment