iss shahr-e-Kharabi mein gham-e-ishq ke mare
zinda hain yahi baat badii baat hai pyare
ye hansata hua chaand ye purnuur sitare
taabinda-o-paa_inda[burning bright and eternally] hain zarron ke sahare
hasart hai koi guncha hamen pyar se dekhe
araman hai koi phuul hamen dil se pukare
har subah meri subah pe roti rahi shabnam
har raat meri raat pe hansate rahe taare
kuch aur bhi hain kaam hamen ae gham-e-jaana
kab tak kii ulajhi hui zulfon ko sanvaare
No comments:
Post a Comment