lete hi dil jo ashiq-e-dil-e-soz[pathetic] ka chale
tum aag lene aaye thay kya aaye kya chale
bal be-garoor-e-husn, zamiin paar na rakhe paaon
maanind aaftaab vo be-nawashe paa chale
kya le chale gali se teri hum ke juu'n naseem
aaye thay sar pe khaak udaane udaa chale
aaluuda[impure] chashm mein na hui surmaa se nigah
dekha, jahan se saaf hi ahale safaa[pure] chale
saath apne le ke tausane[nbridled ambitions] umare ravaan ko aah
hum iss saraaye dahar[world] mein kya aaye kya chale
fikare qanaayat unnko mayassar hui kahan
duniya se dil mein le ke hirs[greed]-o-hawa chale
ae ! 'zauq' hai gazab nigaah-e-yaar, alhafeez
vo kya bache ke jis pe ye teer-e-qaza chale
No comments:
Post a Comment