Thursday, June 4, 2009

iffat alvi ki shayyiri

teri zamin se uththenge toh aasman honge
hum aise log zamane mein phir kahan honge
chale gaye toh pukaregi har sada humko
na jaane kitni zubaanon se hum bayan honge
lahu lahu ke siva kuch na dekh paaoge
hamare naqsh-e-qadam iss qadar ayaan[obvious] honge
samet lijiye bheege huye har ek pal ko
bikhar gaye jo ye moti toh raayegaan[useless] honge
udaad dil ka thikana kisi ko kya mallum
hum apne aap se bichade toh phir kahan honge

No comments:

Post a Comment

wel come