baat nikalegi toh phir duur talak jaayegi
log be_wajah udasi ka sabab puchhenge
ye bhi puchhege ki tum itni pareshan kyun ho
ungaliyaan uthengi sukhe huye baalon ki taraf
ik nazar dekhenge guzare huye saalon ki taraf
chudiyon par bhi kai tanz kiye jaayenge
kaanpate haathon pe bhi fikre kase jaayenge
log zaalim hain har ik baat ka taana denge
baaton baaton mein mera zikr bhi le aayenge
unnki baaton ka zara sa bhi asar mat lena
varna chehre ke taasur se samjh jaayenge
chahe kuch bhi ho savalaat na karna unnse
mere baare mein koi baat na karna unnse
baat nikalegi toh phir duur talak jaayegi
No comments:
Post a Comment