dekh lo khwab magar khwab ka charcha na karo
log jal jaayenge suraj ki tamnna na karo
waqt ka kya hai kisi pal bhi badal sakta hai
ho sake tumse toh tum mujhpe bharosa na karo
kirchiyan tuute hue aks ki chubh jaayengi
aur kuch roz abhi aaiina dekha na karo
ajnabi lagne lage khud tumhen apana hi wajuud
apne din raat ko itna bhi akela na karo
khwab bachchon ke khilaono ki tarah hote hain
khwab dekha na karo khwab dikhaya na karo
be-khayali mein kabhi ungaliyan jal jaayengi
raakh guzare huye lamhon ki kureda na karo
mom ke rishte hain garmi se pighal jaayenge
dhuup ke shahr mein 'aazer' ye tamasha na karo
No comments:
Post a Comment