na shikasta qalb hote na firaaq-e-yaar hota
gar haami-e-mohbbat parwardigaar hota
tera naam jaan-e-jaanan yun na aashkaar hota
mujhe juu-e-ashk-e-gham par khtiyaar hota
teri deed hi sabab hai meri jaan ki rukhsati ka
abhi aur kuch thheharta agar intezaar hota
qatl-e-anaa na karta pesh-e-shamaa patangaa
kamzarf duub marta gar ba-waqaar hota
teri gali mein aa kar sehte jahan ke pathar
paimaan-e-runumayi pe jo aitbaar hota
vehshat - junoon - sauda sarmaaya-e-muhbbat
ae kaash tu bhi mujhsa sarmaayadaar hota
aadaab-e-bazm-e-janaan ne kar diya muqaiyad
varna zahoor-e-ulfat deewanawar hota
hans kar main jaan deta teri lao mein par jalakar
jab khud ko tu jalata tujh par nisaar hota
qat'aa
taa umar kuch na sikha kiya wazan hi qafiya kiya
kyunkar sukhanwaron mein apna shumaar hota
mar kar mili hai fursat kuch sikhte 'husaini'
jo qareeb-e-daagh-o-ghalib apna mazaar hota
No comments:
Post a Comment