na hara hai ishq na duniya thaki hai
diya jal raha hai hawa chal rahi hai
sakuun hi sakuun hai khushi hi khushi hai
tera gham salamat mujhe kya kami hai
chiragon ke badle makan jal rahe hain
naya hai zamana nayi raushani hai
arre O ! jaffaon pe chup rehne walon
khamoshi jaffaon ki ta'id bhi hai
mere rahbar mujhko gumraah kar de
suna hai ki manzil qareeb aa gayi hai
'khumar' ek baalanosh tu aur tauba
tujhe zahidon ki nazar lag gayi hai
No comments:
Post a Comment