na tha kuch toh khuda tha kuch na hota toh khuda hota
duuboya mujhko honi ne na hota main toh kya hota
hua jab gham se yun behis toh gham kya sar ke katne ka
na hota gar juda tan se toh zaanon par dhara hota
hui muddat ke ghalib marr gaya par yaad aata hai
vo har ek baat pe kehna ke yun hota toh kya hota
No comments:
Post a Comment