Saturday, June 20, 2009

saad ullah shah ki shayyiri

na main paas ussko bula saka na main dil ki baat bata saka
vo hassi hassi mein chal diya main hath tak na mila saka
mujhe kiya khabar vo kya hua mujhe kitna gehra khumar tha
main khada tha usske hisar mein mere ird gird ghubar tha
yunhi sochta raha der tak magar ussko na kuch bata saka
na main paas ussko bula saka na main dil ki baat bata saka
na hai dushmani kisi din se ab na hai dosti kisi raat se
hai bacha hi kiya jo vo le gaya mujhe chiin kar meri zaat se
ye maqam hi tha ajeeb sa ke main khud ko bhi na pa saka
na main paas ussko bula saka na main dil ki baat bata saka
ye bhi thik hai wo chala gaya mujhe bandh raste pe chod kar
ye bhi thik hai ke na aayega kabhi buut ana ka tod kar
vo juda bhi kaise hua ke main koi rasm bhi na nibha saka
na main paas ussko bula saka na main dil ki baat bata saka

No comments:

Post a Comment

wel come